Google Business Profile: Pakistani Shops Google Maps aur Search par Kaise Nazar Aayen

Map on a phone showing location

Jab koi customer Google par “karyana near me” ya “mobile shop Khudian” likhta hai, to Google sab se pehle wo businesses dikhata hai jin ka profile mukammal aur sahi hota hai. Is profile ko Google Business Profile kehte hain.

Profile mein ye cheezein zaroor theek karein

Business ka sahi naam, sahi category, sahi address, khulne aur band hone ka waqt, phone number aur website link. Photos asli honi chahiyein — shop ke bahar, andar aur kaam ki photos.

Reviews ka kya faida hai?

Asli reviews naye customer ko bharosa dete hain. Customer se review ka link WhatsApp par bhejein, lekin kabhi jhoota review na likhwayein. Aik ya do asli reviews, das jhootay reviews se behtar hain.

Directory listing se kya madad milti hai?

Raja IT City ki directory mein listing se aap ka naam, sheher aur kaam aik aur jagah mojood ho jata hai. Google ko ye signal milta hai ke aap ka business asli aur active hai.

Listing aur profile setup ke liye rabta karein: WhatsApp: +92 305 530 9695. Phone: +92 321 657 1339. Website: www.rajaitcity.pk.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top